Le Jaa Kahin Door Khuda || RCR New Rap || MTV Hustle
Pata hai
Iss duniya se pareh
Ek aur duniya hai
Jahaan sab kuch thehra hua hai
Bas
Waahaan jane ko dil karta hai
Aayi andar se awaaz kahi aur hai tera ghar
Sach jhooth se pareh jahaan maut ka na darr
Noor ki chaadar mein so rahi roohein
jahaan seene se laga ke maula chumta hai sar
Ab woh bhi pareshaan dekh duniya ke halaat
Mazhab baanta rab baanta baanti jaat paat
Ro raha dekh behti khoon ki nadiyaan
Ke kaise insaan insaan ko raha kaat
Kya maar ke kisi ko aaj tak rab dikha hai
Kya woh bhi teri tarah chand paiso pe bika hai
The god is love love is god Christ ne kaha tha
Jin prem kiyo tin hi prabh payo baani mein likha hai
Phir kyun dharmo ko leke nafrat ke beej bo rahe hain
Hindu musalman kattarta ki maiyat pe so rahe hain
Guruon peeron ne hume ladna nahi sikhaya
Phir kyun sabse zyada
Dharmo pe hi katle aam ho rahe hain
Band karo nautanki khud ko dharmic batane ki
Sadhuon ka chola aadat ismo ko khane ki
Pehna sar se paon tak jhooth ka libaas
Aur baatein karta hai tu sache rab ko paane ki
Le jaa kahin door
khuda
Kar de mujhko mujhse judaa
Tadpoon tadpe meri rooh
Toot chuka nahi milta tu
Le jaa kahin door khuda
Kar de mujhko mujhse judaa
Tadpoon tadpe meri rooh
Toot chuka nahi milta tu
Qayamat ke din sabka lekha dekha jayega
Tera kale karmo ka phal tujhe nark mein pheka jayega
Zubaan teri kheech lenge chamdi udhedi jaayegi
Aag ki lapton mein tera jism senka jayega
Keh doon jo batien hai dil mein rehti behti meri
Do pyasi yeh aankhein
hai kyun
Cheekh cheekh thaka haara main
Kaanon mein renge na inke zara si joon
Roobaroo hona main chahoon
Tere dar pe khona main chahoon
Na lage dil kafir hai duniya
Maut ki sej pe sona main chahoon
Ye baat un bachchon ki
Jinhone har ek terrorist attack mein apne maa baap ko kho
diya
Mari hui maa ki doodh peete peete so chukein hain
Khoon nikle aankhon se iss hadh tak ro chukein hain
Kya reh gaya un bachchon ki bachpan
Abhi chalna bhi na seekha aur
Anaath ho chuke hain
Jaan le li jaati hai yahaan jisne pyaar kiya
Padha itihaas to maine aitbaar kiya
Heer Ranjha sassi punnu koi na bacha
Insaan toh kya logon ne Isaiah ko bhi maar diya
Le jaa kahin door khuda
Kar de mujhko mujhse judaa
Tadpoon tadpe meri rooh
Toot chuka nahi milta tu
Le jaa kahin door khuda
Kar de mujhko mujhse judaa
Tadpoon tadpe meri rooh
Toot chuka nahi milta tu
Wynn Las Vegas - Mapyro
ReplyDeleteWynn Las Vegas 당진 출장마사지 and Encore Las Vegas feature two luxury 아산 출장샵 hotel towers with a 강원도 출장안마 total 문경 출장안마 of 4,748 spacious 제주 출장샵 hotel rooms, suites and villas, approximately 192,